peḌ sukha harf ka aur faḳhta.en mar ga.iin
lab na khole to ghuTan se sab dua.en mar ga.iin
ek din apna sahifa mujh pe nazil ho gaya
us ko paḌhte hi miri saari ḳhata.en mar ga.iin
yaad ki gudḌi ko main ne ek din pahna nahin
ek din ke hijr men saari bala.en mar ga.iin
main ne mustaqbil men ja kar ek lambi saans li
phir mire maazi ki sab hasid hava.en mar ga.iin
main ne kya socha tha un ke vaste aur kya hua
mere chup hone se andar ki sada.en mar ga.iin
is taraf miTTi thi mere us taraf ik nuur tha
main jiya mere liye do intiha.en mar ga.iin
Leave a Reply