payambar main nahin ashiq huun jaani
rahe muusi hi se ye lan-tarani
sulaiman ham hain ai mahbub-e-jani
samajhte hain tujhe bilqis-e-sani
khula saude men un zulfon ke mar kar
pareshan ḳhvab thi ye zindagani
ye kyuun aata hai un se qad-kushi ko
gaḌi jaati hai sarv-e-bostani
vahi dega kabab-e-nargisi bhi
jo deta hai sharab-e-arghavani
ranga hai ishq ne kis dard-e-sar se
hamara jama-e-tan za.afrani
musafir ki tarah rah ḳhana-bar-dosh
nahin ja.e-e-iqamat dar-e-fani
tire kuche ke mushtaqon ke aage
jahannam hai bahisht-e-asmani
vo mai-kash huun diya hai qabla ne
jise ghusl-e-sharab-e-arghavani
yaqin hai dida-e-barik-bin ko
kare ainak talab ye na-tavani
vo ḳhat hai yadgar-e-husn-e-rafta
vo sabza hai gulistan ki nishani
nikalti munh se qasid ke nahin baat
magar laaya hai paigham-e-zabani
ye musht-e-ḳhak ho maqbul-e-dargah
saba ki chahta huun mehrbani
liye hain bosa-e-ruḳhsara-e-saf
piya hai ham ne a.ine ka paani
safedi mu ki ho kafur har-chand
koi miTta hai ye dagh-e-javani
na ḳhush ho farbahi-e-tan se ghafil
subuk karti hai murde ko girani
mue jo peshtar marne se vo log
kafan samjhe qaba-e-zindagani
jalati hai dil ‘atish’ tuur ki tarah
kisi parda-nashin ki lan-tarani
Leave a Reply