payab mauj uTThi to sar se guzar ga.i
ik sarv-qad javan ki dastar utar ga.i
karne laga tha gharq samundar jahan ko
tufan hi maujzan tha jahan tak nazar ga.i
us tirgi men barq ki shoḳhi ajiib thi
abad vo hua jise viran kar ga.i
so.e badan ke bahr men jaagi thi ḳhuun ki lahr
jab chaḌh ke sar tak aa.i to jaane kidhar ga.i
sehn-e-chaman men dil ke lahu ki har ek buund
patte ko phuul shaḳh ko talvar kar ga.i
naseh ne ku-e-yar ka rasta bhula diya
achchha hua ki hasrat-e-didar mar ga.i
Leave a Reply