Shahr Mein Ban Ke Mohabbat Ka Gadagar Mangun

shahr meñ ban ke mohabbat kā gadāgar māñgūñ

mujh ko māñge se mile vo to maiñ dar dar māñgūñ

dahr kī daar pe jhūlūñ bhī to kaise jhūlūñ

ġham-e-duniyā bhī tire qad ke barābar māñgūñ

ik taraf dil ki tire ġham se ubhartā hī nahīñ

ik taraf maiñ ki tirī diid kā gauhar māñgūñ

terī yādoñ kī uḌāneñ bhī bahut ḳhuub magar

dil ye kahtā hai tire lams kā shahpar māñgūñ

zindagī merī hai kashkol-e-tahī kī sūrat

us bhikārī se maiñ māñgūñ bhī to kyā zar māñgūñ

ek patthar tirī rāhoñ se haTā huuñ jab se

aaj ye haal ki har paañv se Thokar māñgūñ

Leave a Comment