patthar mujhe sharminda-e-guftar na kar de
uncha miri avaz ko divar na kar de
majbur-e-suḳhan karta hai kyuun mujh ko zamana
lahja mire jazbat ka iz.har na kar de
zanjir samajh kar mujhe toḌa to hai tu ne
ab tujh ko pareshan miri jhankar na kar de
chalta huun to paḌte hain qadam mere hava par
Darta huun hava chalne se inkar na kar de
rah ja.un na main apne hi qadmon se kuchal kar
pamal mujhe ḳhud miri raftar na kar de
main ḳhud ko miTa kar tira shahkar bana huun
nilam mujhe tu sar-e-bazar na kar de
har saans na.e zaḳhm lagati hai ‘muzaffar’
TukḌe mire ik roz ye talvar na kar de
Leave a Reply