pas-e-iḳhlas saḳht hai taklif
ta-kuja ḳhatir-e-vazi-o-sharif
chashm o dil se na thi ye chashm hamen
ki na girya ke ho sakenge harif
sub.h tak tha vahin ye muḳhlis bhi
aap rakhte the shab jahan tashrif
mujh se tujh bin gaya jo fasl-e-rabi
kab ye ashjar se kare hai ḳharif
yuun kabhu tu ne mai na di saaqi
na-e-hulqum ko samajhte qiif
apne ta.iin aap vo nahin paate
fikr men tujh kamar ki hain jo za.iif
kyuun na vaahi ho sher ‘qa.em’ ka
hai divane ki aḳhirash tasnif
Leave a Reply