Pas Bhi Rah Kar Dur Hai To

paas bhī rah kar duur hai to

maiñ be-bas majbūr hai tū

pyāsī akhiyāñ DhūñDh thakīñ

bol kahāñ mastūr hai tū

rog aur jog aTuuT sahī

aas yā paas zarūr hai tū

ek akelā maiñ bekal

tanhā chaknā-chūr hai tū

pyaar iqrār se joḌ sabhī

meñ duniyā dastūr hai tū

haath se duur nigah se judā

dil meñ nūr-e-zuhūr hai tū

har chaukhaT meñ nirās udaas

har āñgan ranjūr hai tū

Leave a Comment