pareshan ai zulf-e-bahar-dam na ho
sinan-e-mizha ki tu parcham na ho
tabibo yahi aarzu hai mujhe
sar-e-dagh par pa-e-marham na ho
mara haal darham na ho is qadar
jo zulf-e-siyah us ki barham na ho
jafa-kar ho teri daulat ziyad
mira ah-o-nala kabhi kam na ho
jalun shama-san garmi-e-ishq se
dam-e-sard mera jo be-dam na ho
vahi dam dam-e-akhiri ho mira
tiri yaad men sarf jo dam na ho
safa-parvaran shola-ru mil chuka
kabhi aag aur paani baham na ho
labon par tire daant to hai magar
darun huun kahin ye shakar sam na ho
sada ru-ba-ru hai vo khurshid-ru
kabhi khushk ye dida-e-nam na ho
na sajda kare koi mehrab ko
sar us ka tavazo se gar kham na ho
gham us ka jo ho khana-pardaz-e-dil
to ‘joshish’ kasi chiiz ka gham na ho
Leave a Reply