parde ko jo lau de vo jhalak aur hi kuchh hai
nadida hai sho.ala to lapak aur hi kuchh hai
Takrate hue jaam bhi dete hain khanak si
laḌti hain nigahen to khanak aur hi kuchh hai
ishrat-gah-e-daulat bhi hai gahvara-e-nik.hat
mehnat ke pasine ki mahak aur hi kuchh hai
haan josh javani bhi hai ik ḳhuld-e-nazara
ik tifl ki ma.asum humak aur hi kuchh hai
shab ko bhi mahakti to hain ye adh-khili kaliyan
jab chuum len kirnen to mahak aur hi kuchh hai
kamzor to jhukta hi hai qanun ke aage
taqat kabhi lachke to lachak aur hi kuchh hai
ashkon se bhi ho jaata hai ankhon men charaghan
bin-barsi nigahon ki chamak aur hi kuchh hai
ro kar bhi thake jism ko niind aati hai lekin
bachche ke liye maan ki thapak aur hi kuchh hai
bazm-e-adab-e-hind ke har gul men hai ḳhushbu
‘mulla’ gul-e-urdu ki mahak aur hi kuchh hai
Leave a Reply