parda-dar hasti thi zaat ke samundar men
husn ḳhuub khul khela is sifat ke manzar men
husn ishq men hai ya ishq husn men muzmar
jauhar aa.ine men ya a.ina hai jauhar men
ishq-e-mahshar-ara ki tuur par giri bijli
husn-e-lan-tarani ki rah saka na chadar men
dekh ai tamasha.i gul hai rang-o-bu bilkul
imtiyaz na-mumkin hai arz se jauhar men
gul men aur bulbul men kaun jaane kya guzri
chashm-posh masti thi is barahna manzar men
upchi banate hain husn ko suḳhan go kyuun
kaaT in adaon ka kab hai tegh-o-ḳhanjar men
fart-e-soz-e-ulfat men dekh kar sakun dil ka
bijliyan machalti hain badalon ke mahshar men
charagar ko hairat hai irtiqa-e-vahsaht se
paanv men jo chakkar tha aa raha hai vo sar men
hasrat arman ki ho kahna se gunja.ish
hai vahi mire dil men hai vahi mire sar men
hon vo rind ya suufi mast us ki dhun men hain
jaane kitne mai-ḳhane bhar diye hain kausar men
charḳh kya utar aaya aaj farsh-e-giti par
rind bhi hain chakkar men mai-kada bhi chakkar men
mai vo hosh par afgan aur nazar vo sahba-pash
mast kyuun na ho ‘kaifi’ ek do hi saghar men
Leave a Reply