para.i niind men sone ka tajraba kar ke
main ḳhush nahin huun tujhe ḳhud men mubtala kar ke
usuli taur pe mar jaana chahiye tha magar
mujhe sukun mila hai tujhe juda kar ke
ye kyuun kaha ki tujhe mujh se pyaar ho jaa.e
taḌap uTha huun tire haq men bad-dua kar ke
main chahta huun ḳharidar par ye khul jaa.e
naya nahin huun rakha huun yahan naya kar ke
main jutiyon men bhi baiTha huun puure maan ke saath
kisi ne mujh ko bulaya hai iltija kar ke
bashar samajh ke kiya tha na yuun nazar-andaz
le main bhi chhoḌ raha huun tujhe ḳhuda kar ke
to phir vo rote hue minnaten bhi mante hain
jo intiha nahin karte hain ibtida kar ke
badal chuka hai mira lams nafsiyat us ki
ki rakh diya hai use main ne an-chua kar ke
mana bhi lunga gale bhi laga.unga main ‘ali’
abhi to dekh raha huun use ḳhafa kar ke
Leave a Reply