paanv patton pe dhire se dharta hua
vo guzar jaega yuun hi darta hua
bojh suraj ka sar par uthane ko hai
ek saaya nadi men utarta hua
shaam sahil pe gum-sum si baithi hui
aur dariya men sona bikharta hua
tere aane ki us ko khabar kis ne di
ek ashufta-sar hai sanvarta hua
dekhta rah gaya apni parchhaiyan
vaqt guzra hai kitna thaharta hua
Leave a Reply