
Khalid Raheem
mujhe dariya ki maujon se bacha le ja.ega koi
main aisi buund huun jis ko chura le ja.ega koi
bujha kar taaq men rakh dega ye dast-e-sahar mujh ko
magar jab shaam aa.egi jala le ja.ega koi
yahi kuchh soch kar apni haveli chhoḌ aaya tha
agar main ruuTh ja.unga mana le ja.ega koi
ra.ison ki ye basti hai khaḌe hain raah men saa.il
kahega haath men sikka dua le ja.ega koi
mujhe achchha nahin lagta kisi se maang kar paḌhna
kitaben main ḳharidunga uTha le ja.ega koi
chura laa.i hai phulon se mujhe bad-e-saba ‘ḳhalid’
main ḳhushbu huun mujhe apna bana le ja.ega koi

Leave a Reply