panchhiyon ki kisi qatar ke saath
bal-o-par bhi ga.e bahar ke saath
kaam asan to nahin phir bhi
ji rahe hain dil-e-figar ke saath
ansuon ki tarah vajud mira
bahta jaata hai abshar ke saath
uḌ raha hai jo teri galiyon men
main bhi shamil huun us ghubar ke saath
sham-e-vahshat kahan pe le aa.i
tu mujhe apne intizar ke saath
aur bhi ik hisar hai ‘az.har’
shahr-e-zindan ke is hisar ke saath
Leave a Reply