• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Fikr Yahi Hai Har Ghadi Gham Yahi Subh O Sham Hai

Fikr Yahi Hai Har Ghadi Gham Yahi Subh O Sham Hai

poet

fikr yahi hai har ghadi gham yahi subh o shaam hai

gar na mila vo kuchh dinon kaam yahan tamam hai

ab hain hamare naam par saikdon galiyan ye lutf

kahte the tum miyan miyan vo hi to ye ghulam hai

khair na miliye roz roz yunhi sahi kabhi kabhi

us se bhi inhiraf hai is men bhi kuchh kalam hai

ai dil-e-be-qarar kuchh kar vo ruke to rukne de

faeda iztirab se sabr ka ye maqam hai

koi kahe bura bhala koi adu ho ya ho dost

aur kisi se kaam kya aap se mujh ko kaam hai

haae har ik ki vo sune kuchh main kahun to ye kahe

aap na mujh se kuchh kahen aap se kab kalam hai

aaj hain ham to jan-ba-lab kal ko gar aae bhi husul

tum ko kisi se kya gharaz apni khushi se kaam hai

ye bhi ghazab ka rashk hai khat to hai nam-e-ghair par

aur lifafe par likha sahv se mera naam hai

kis ko kya shahid-e-naz kis ki hui vafa pasand

kahte hain un ke dar par aaj khalq ka azhdaham hai

ab hain fareb kis liye hoga yaqin kisi ko ab

tum se vafa ki aarzu ye bhi khayal-e-kham hai

tauba ka yaan kise khayal mai ko samajhte hain halal

jis ke liye haram hai us ke liye haram hai

din ho to afaten ye kuchh raat ho to ye kuchh sitam

kaisi hamari subh hai kaisi hamari shaam hai

hijr ke vo sitam sahe ab na rahi hava-e-vasl

haal yahi hai nama-bar ye hi mira payam hai

sun ke miri fughan ka shor puchha kisi ne kaun hai

bole suna na hoga kyaa, ye to vahi ‘nizam’ hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ab Kahin Saya-E-Gesu Bhi Nahin

Miyan-E-Kar-E-Duniya Humse Dil Nashad Kya Karte

Sitare Jab Kisi Mahtab Ka Qissa Sunate Hain

poet

Awwal To Main Rukta Nahin Aur Jis Se Rukun Main

Daryaft Kar Ke KHud Ko Zamane Se Dur Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet