khada hai kaun ye pairahan-e-sharar pahne
badan hai chuur to mathe se khuun jaari hai
zamana guzra ki farhad o qais khatm hue
ye kis pe ahl-e-jahan hukm-e-sang-bari hai
yahan to koi bhi shirin ada-nigar nahin
yahan to koi bhi laila badan-bahar nahin
ye kis ke naam pe zakhmon ki lala-kari hai
koi divana hai leta hai sach ka naam ab tak
fareb-o-makr ko karta nahin salam ab tak
hai baat saaf saza is ki sang-sari hai
Leave a Reply