• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Pahunch Ke Hum Sar-E-Manzil Jinhen Bhula Na Sake

Pahunch Ke Hum Sar-E-Manzil Jinhen Bhula Na Sake

pahunch ke ham sar-e-manzil jinhen bhula na sake

vo ham-safar the jo kuchh duur saath aa na sake

tamam umr pashemaniyon men biit ga.i

ba-qadr-e-shauq mohabbat ke naaz uTha na sake

mujhe ḳhayal hai un dil-girafta kaliyon ka

jinhen nasim-e-sahar chheḌ de khila na sake

kuchh aise dard bhi hain zindagi ki rahon men

jahan hijab-e-tabassum bhi kaam aa na sake

karam ki aas ke sayon men bujh gaya vo charagh

hava-e-yas ke jhonke jise bujha na sake

andheri shab thi sitaron se kya sukun milta

sitare bhi to bahut der jagmaga na sake

ghazal ke husn ka ehsas us ko kya ‘javed’

ḳhulus-e-narmi-e-guftar ko jo pa na sake

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hijr Ka Gham Bhi Nahin Wasl Ki Parwa Bhi Nahin

Jahan Se Ab Guzarna Chahte Hain

Rang Us Ka Naya Nazar Aaya

Pani Mein Aag Dhyan Se Tere bhaDak Gai

poet

Aaj Dil Soch Raha Hai Jaise

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet