pahle to mujh men hashr bapa kar diya gaya
aur phir badan ko nazr-e-saba kar diya gaya
kanTon ki baaḌ par tha gulabon ka pairahan
phulon ko ḳhar-o-ḳhas ki qaba kar diya gaya
mangi jo main ne vasl ki lazzat to ye kaha
ki tujh ko dard-e-hijr ata kar diya gaya
jab jab use pukara kaḌi dhuup men laga
saaya sa jaise mujh pe ghana kar diya gaya
ik baar hi to chamka tha mujh men tira vajud
phir aks tera mujh se juda kar diya gaya
kya phir hava-e-marg chali hai dayar men
kya shahr-e-arzu ko fana kar diya gaya
jaana tha la-makan ki mujhe sair ko ‘sahar’
achchha hua badan se riha kar diya gaya
Leave a Reply