Chaman Mahfuz Hoga Meri Duniya miT Gai Hogi

chaman mahfūz hogā merī duniyā miT ga.ī hogī

jahāñ bijlī ko girnā thā vahīñ bijlī girī hogī

kahāñ tak jabr kartā dil pe āḳhir maiñ bhī insāñ huuñ

tabī.at phir tabī.at hai kabhī ghabrā ga.ī hogī

badal jaa.e jo mīr-e-kārvāñ kyā farq paḌtā hai

agar jaada vahī hogā to manzil bhī vahī hogī

ḳhizāñ kā daur hogā mausam-e-gul jā chukā hogā

qafas se jab maiñ chhūTūñgā to duniyā dūsrī hogī

mujhe ġham dene vaale zabt-e-ġham kā hausla bhī de

yaqīnan ba.ad is ke shān-e-ġham kuchh aur hī hogī

bahār aa.e na aa.e maiñ garebāñ chaak kar lūñgā

agar ḳhāmosh baiThūñgā to ye dīvāngī hogī

vo shām-e-hijr ho yā vasl kī shab farq itnā hai

kahīñ terī kamī hogī kahīñ merī kamī hogī

hamāre āshiyāñ par kab gireñgī bijliyāñ āḳhir

‘sa.īd’ allāh jaane kab chaman meñ raushnī hogī

Leave a Comment