tu jo humak kar meri god men chadh jaati hai
raton ko be-mauqa niind uda deti hai
teri khatir
shora ke bazaron tak main ho aata huun
phir be-samjhi vaah vaah ke avaze se ghayal ho kar
aksar muafi maang chuka huun
ai dad-o-tahsin ki khvahish
hiron ka to kaam hai ankhen khira karna
par un hiron ki takhliq men
aur pahchan ke darjon ki tarvij men
lamba vaqfa hai
kaun ye jaane
ye kitna lamba vaqfa hai
ai dad-o-tahsin ki khvahish
fard jamaat se gar duur nikal jaata hai
to pagal hi kahlata hai
Leave a Reply