niind maston ko kahan aur kidhar ka takiya
khisht-e-khum-khana hai yaan apne to sar ka takiya
lakht-e-dil aa ke musafir se thaharte hain yahan
chashm hai ham se gadaon ki guzar ka takiya
jis taraf aankh utha dekhiye ho jaae asar
ham to rakhte hain faqat apni nazar ka takiya
chain hargiz nahin makhmal ke use takiye par
us pari ke liye ho huur ke par ka takiya
haath apne ke siva aur to kya ho haihat
valih o dar-ba-dar o khak-basar ka takiya
sar to chahe hai mira hove mayassar tere
haath ka baazu ka zaanu ka kamar ka takiya
ye to hasil hai kahan bhej de lekin mujh ko
jis men balon ki ho bu tere ho sar ka takiya
tikhe-pan ke tire qurban akad ke sadqe
kya hi baitha hai laga kar ke sipar ka takiya
garche ham sakht gunahgar hain lekin vallah
dil men jo dar hai hamen hai usi dar ka takiya
girya o ah-o-fughan naala o ya rab fariyad
sab ko hai har shab-o-roz apne asar ka takiya
rind o azad hue chhod ilaqa sab ka
dhundhte kab hain pidar aur pisar ka takiya
gar bharosa hai hamen ab to bharosa tera
aur takiya hai agar tere hi dar ka takiya
shauq se soiye sar rakh ke mire zaanu par
us ko mat samajhiye kuchh khauf-o-khatar ka takiya
jab talak aap na jagenge rahega yuun hi
sarkega tab hi ki jab kahiyega sarka takiya
lutf-e-izadi hi se ummid hai insha-allah
kuchh nahin rakhte hain ham fazl o hunar ka takiya
Leave a Reply