niind chubhne lagi hai ankhon men
kab talak jagna hai raton men
tum agar yunhi baat karte rahe
biit ja.ega vaqt baton men
ungliyan ho ga.iin figar apni
chhup gaya hai gulab kanTon men
shayad apna pata bhi mil jaa.e
jhankta huun tiri nigahon men
sab hai tere saval men pinhan
kuchh nahin hai mire javabon men
jo nahin mil saka haqiqat men
DhunDhta phir raha huun ḳhvabon men
faisla to tumhin ko karna hai
dekhte kya ho tum gavahon men
maslahat-kosh ho gaya ‘mamun’
ghir ke tanqid karne valon men
Leave a Reply