dastaras men kahkashan jugnu diya kuchh bhi nahin
shukr hai phir bhi mire maula gila kuchh bhi nahin
kaun hai maqtul qatil kaun sab ḳhamosh hain
be-hisi hai varna ankhon se chhupa kuchh bhi nahin
is dil-e-betab ko taskin aḳhir kaun de
is ki qismat men tahammul ke siva kuchh bhi nahin
roz-o-shab ke an-ginat auraq palTe hain magar
zindagi ki kya haqiqat hai pata kuchh bhi nahin
teri qudrat men hai saare mas.alon ka hal nihan
tere aage mere maula mas.ala kuchh bhi nahin
kya ye kam hai ummati huun main tire mahbub ka
kaise kah duun ai ḳhuda mujh ko mila kuchh bhi nahin
munsifon ke faisle is daur men hain be-misal
us ko dete hain saza jis ki ḳhata kuchh bhi nahin
bevafa ko kya sunata main vafa ki dastan
main ne us ko aḳhiri ḳhat men likha kuchh bhi nahin
main kisi ko kyuun suna.un apni rudad-e-hayat
tu mira ‘maqsud’ tujh se to chhupa kuchh bhi nahin
Leave a Reply