niind aai na khula raat ka bistar mujh se
guftugu karta raha chand barabar mujh se
apna saaya use khairat men de aaya huun
dhuup ke dar se jo lipta raha din bhar mujh se
kaun si aisi kami mere khad-o-khal men hai
aaina khush nahin hota kabhi mil kar mujh se
kya musibat hai ki har din ki mashaqqat ke evaz
bandh jaata hai koi raat ka patthar mujh se
dasht ki samt nikal aaya hai mera dariya
bas isi par hain khafa saare samundar mujh se
apne hathon ko jo kashkol banaya ‘gauhar’
gir pada jaane kahan mera muqaddar mujh se
Leave a Reply