ravan hai mauj-e-fana jism o jaan utaar mujhe
utaar ab ke sar-e-asman utaar mujhe
mira vajud samundar ke iztirab men hai
ki khul raha hai tira badban utaar mujhe
bahut aziiz huun ḳharan-e-taza-kar ko main
bahut udaas hai dasht-e-javan utaar mujhe
koi jazira jahan hast-o-bud ho na fana
vajud ho na zamana vahan utaar mujhe
Leave a Reply