• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nind Aa Gai Thi Manzil-E-Irfan Se Guzar Ke

Nind Aa Gai Thi Manzil-E-Irfan Se Guzar Ke

niind aa ga.i thi manzil-e-irfan se guzar ke

chaunke hain ham ab sarhad-e-isyan se guzar ke

ankhon men liye jalva-e-nairang-e-tamasha

aa.i hai ḳhizan jashn-e-baharan se guzar ke

yadon ke javan qafile aate hi rahenge

sarma ke isi barg-e-pur-afshan se guzar ke

kanTon ko bhi ab bad-e-saba chheḌ rahi hai

phulon ke hasin chaak gareban se guzar ke

vahshat ki na.i rahguzar DhunDh rahe hain

ham ahl-e-junun dasht o bayaban se guzar ke

ban ja.ega taara kisi mayus ḳhala men

ye ashk-e-sahar gosha-e-daman se guzar ke

avargi-e-fikr kidhar le ke chali hai

sar-manzil-e-azadi-e-insan se guzar ke

paa.i hai nigahon ne tiri bazm-e-tamanna

raton ko chinaron ke charaghan se guzar ke

ik gardish-e-chashm-e-karam ik mauj-e-nazara

kal shab ko mili gardish-e-dauran se guzar ke

milne ko to mil jaa.e magar lega bhala kaun

sahil ka sukun shorish-e-tufan se guzar ke

ik nishtar-e-gham aur sahi ai gham-e-manzil

aa dekh to ik roz rag-e-jan se guzar ke

ab dard men vo kaifiyat-e-dard nahin hai

aaya huun jo us bazm-e-gul-afshan se guzar ke

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tujhko Aate Hi Nahin Chhupne Ke Andaz Abhi

Apna Hona Bana Raha Hun Main

Wo Jo Aankhon Mein Chhup Ke baiTha Hai

Kise KHabar Thi Ki Jite Ji Bhi Wo Daur Aayega Zindagi Ka

adil-hayat

Har Ek Jawab Ki Tah Mein Sawal Aaega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet