nikli jo ruuh ho gae ajza-e-tan kharab
ik shama bujh gai to hui anjuman kharab
kyuun dalta hai khaak ki hoga kafan kharab
main huun safed-posh na kar pairahan kharab
ji men ye hai ki dil hi ko sajde kya karun
dair-o-haram men log hain ai jan-e-man kharab
nazuk dilon ka husn hai rang-e-shikastagi
phatne se kab gulon ka hua pairahan kharab
duniya ne munh pe daala hai parda sarab ka
hote hain daud daud ke tishna-dahan kharab
iblis se ye kahta hai laanat ka tauq rose
aadam kharab ya sifat ma-o-man kharab
kya khushnuma ho khizr badhe gar libas-e-umr
qad se jo ho daraz to ho pairahan kharab
mera salam-e-ishq alaihis-salam ko
khusrav idhar kharab udhar kohkan kharab
yusuf ke husn ne ye zulekha ko di sada
lo ungliyan katin vo hue taana-zan kharab
gar bas chale to aap phirun apne gird men
kaabe ko ja ke kaun ho ai jan-e-man kharab
zakhmi hua hai naam ko dar-parda husn bhi
yusuf ka khun-e-gurg se hai pairahan kharab
vaada kiya hai ghair se aur vo bhi vasl ka
kulli karo huzur hua hai dahan kharab
ai khak-e-gor dekh na dhabba lage kahin
rakh duun abhi utaar ke gar ho kafan kharab
kaisi bhi ho zamin ajab hal hai tab-e-tez
‘mail’ jo boen ham na ho tukhm-e-sukhan kharab
Leave a Reply