nikal raha huun yaqin ki had se guman ki janib
safar hai mera zamin se asman ki janib
munDer par koi chashm-e-tar thi ki aa.ina tha
sitara-e-sham dekhta tha makan ki janib
ye ḳhvab hai ya tilism koi ki ḳhushk patte
khinche chale ja rahe hain ab-e-ravan ki janib
koi to uupar se bojh Daala gaya hai varna
jhuka hua asman hai kyuun ḳhak-dan ki janib
to phir mire saath us ka chalna muhal Thahra
dhyan rahta tha us ka sud-o-ziyan ki janib
sukunat-e-qalb ḳhali siine pe aise utri
amaan ḳhudi chal ke aa ga.i be-aman ki janib
Leave a Reply