nikal mat ghar se tu ai ḳhana-abad
kiya ab ham ne bhi virana abad
qubul hoga kahin to sajda apna
rahen ye ka.aba o but-ḳhana abad
hamara hi rahe ik jaam ḳhali
mughan rahiyo tira mai-ḳhana abad
rahe us zulf se ye dil pareshan
tira ghar hove yuun ai shana abad
‘raza’ luuTa hai kis saffak ne aa
kabhi dil ko tire dekha na abad
Leave a Reply