nigah-o-dil ka afsana qarib-e-iḳhtitam aaya
hamen ab is se kya aa.i sahar ya vaqt-e-sham aaya
zaban-e-ishq par ik chiḳh ban kar tera naam aaya
ḳhirad ki manzilen tai ho chukin dil ka maqam aaya
uThana hai jo patthar rakh ke siine par vo gaam aaya
mohabbat men tiri tark-e-mohabbat ka maqam aaya
use aansu na kah ik yad-e-ayyam-e-guzishta hai
miri umr-e-ravan ko umr-e-rafta ka salam aaya
zara lau aur dil ki tez kar siila sa ye sho.ala
na raushan kar saka ghar ko na mahfil hi ke kaam aaya
nizam-e-mai-kada saaqi badalne ki zarurat hai
hazaron hain safen jin men na mai aa.i na jaam aaya
abhi tak said-e-yazdan-o-sanam aulad-e-adam hai
bashar insan nahin rahta jahan iman ka naam aaya
bahar aate hi ḳhun-rezi hui vo sehn-e-gulshan men
ḳhajil kanTe the yuun phulon ko josh-e-intiqam aaya
bhula.e abla-paon ko baiThe the chaman vaale
garajti andhiyan aa.iin ki sahra ka salam aaya
sahar ki huur ke kya kya ne dekhe ḳhvab duniya ne
magar ta.abir jab DhunDi vahi ifrit-e-sham aaya
kabhi shayad usi se rang-e-firdaus-e-bashar paa.e
abhi tak to lahu insan ka shaitan hi ke kaam aaya
mukammal tabsira karta hua ayyam-e-rafta par
nigah-e-be-suḳhan men ek ashk-e-be-kalam aaya
tavana ko bahana chahiye shayad tashaddud ka
phir ik majbur par shoridgi ka ittiham aaya
na jaane kitni sham.en gul huiin kitne bujhe taare
tab ik ḳhurshed itrata hua bala-e-bam aaya
barahman ab-e-ganga shaiḳh kausar le uḌa is se
tire honTon ko jab chhuta hua ‘mulla’ ka jaam aaya
Leave a Reply