bhala ho jis kaam men kisi ka to us men vaqfa na kijiyega
ḳhayal-e-zahmat na kijiyega malal-e-iza na kijiyega
vo mujh se farma rahe hain hans kar hamesha milne ki aarzu par
malal hoga muhal shai ki kabhi tamanna na kijiyega
habab hai zindagi ka naqsha kahan ka din mah-o-sal kaisa
hava hai ye dam ka kya bharosa ummid-e-farda na kijiyega
kiya to hai ishq hazrat-e-dil liya hai sar par ye bar-e-mushkil
hua agar mudda.a na hasil to raaz ifsha na kijiyega
jo aap aa.en pa.e ayadat yaqin hai ho jaa.e mujh ko sehat
magar bara-e-ḳhuda ye zahmat kabhi gavara na kijiyega
jo ahl-e-duniya ke the muḳhalif hue vo duniya ke aur na diin ke
samajhiye ab ḳhatma hai diin ka jo fikr-e-duniya na kijiyega
ye qa.eda rasm-o-rah ka hai ḳhayal donon taraf ho yaksan
kisi ko parva na hogi jis dam kisi ki parva na kijiyega
ta.alluq ahl-e-jahan se ho gar to rakhiye bim-o-raja barabar
siva ḳhuda ke kisi ke upar kabhi bharosa na kijiyega
aziiz hai jauhar-e-amanat kisi se ulfat ho ya adavat
agar hai kuchh ghairat-e-sharafat to raaz ifsha na kijiyega
bayan ki ehtiyaj hai kab raha hai sirf ek harf-e-matlab
‘habib’ ka dard-e-dil suna sab ab is ka chara na kijiyega
Leave a Reply