Isi Bana Pe Agar Ki to Dosti Karungi

isī banā pe agar kī to dostī karūñgī

faqat tumhārī nahīñ, apnī baat bhī karūñgī

is ehtiyāt ke khūñTe se bāñdh mat mujh ko

ki jitnī bas meñ mire hai maiñ zindagī karūñgī

zamīñ pe puure tasalsul se ishq chāhiye hai

ye kaam pahlā kiyā hai ye āḳhirī karūñgī

vo tark-e-pās-e-vafā hī thā dushmanī nahīñ thī

huzūr pās-e-ta.alluq to aaj bhī karūñgī

ye ḳhud-aziyyatī mahmez hai tabī.at ko

so zaḳhm zaḳhm kuredūñgī shā.irī karūñgī

Leave a Comment