nibhana ho va.ada to aisa karen
ki va.ade se pahle irada karen
har ik baar apni haden aank kar
har ik baat had se ziyada karen
talatum ki dhun jin ka sangit hai
vo tufan ke hi giit gaaya karen
adhura rahega ye rishta agar
ham ik dusre ko na puura karen
ye paani ka hai farz har haal men
so aansu bhi nikle to sabza karen
marasim ke dhagon ki tasir hai
ki suljha.un jitne ye uljha karen
rahen dil men kuchh barahna hasraten
na ankhon ki khiḌki se jhanka karen
Leave a Reply