nibah baat ka us hila-gar se kuchh na hua
idhar se kya na hua par udhar se kuchh na hua
javab-e-saf to laata agar na laata khat
likha nasib ka jo nama-bar se kuchh na hua
hamesha fitne hi barpa kiye mire sar par
hua ye aur to us fitnagar se kuchh na hua
bala se girya-e-shab tu hi kuchh asar karta
agarche ishq men ah-e-sahar se kuchh na hua
jala jala ke kiya shama saan tamam mujhe
bas aur to mujhe soz-e-jigar se kuchh na hua
rahin adu se vahi garm-joshiyan us ki
is ah-e-sard aur is chashm-e-tar se kuchh na hua
uthaya ishq men kya kya na dard-e-sar main ne
husul par mujhe us dard-e-sar se kuchh na hua
shab-e-visal men bhi meri jaan ko aram
azizo dard-e-judai ke dar se kuchh na hua
na dunga dil use main ye hamesha kahta tha
vo aaj le hi gaya aur ‘zafar’ se kuchh na hua
Leave a Reply