dil ki zaban se us ko sada dena chahiye
baiThe gala to aise bula lena chahiye
nazren chura bacha ke uTha lena chahiye
auron ke dard ka bhi maza lena chahiye
bistar pe asman ke ThiThure hai chandr-ma
badal idhar-udhar se daba lena chahiye
kandhe samay ke bojh se shal ho ga.e to kya
ye bojh muskura ke uTha lena chahiye
kuchh gumrahi tumhen pe nahin farz rahravo
manzil ko bhi to raah men aa lena chahiye
aise buzurg baḳht raha jin ka na-rasa
aison se zindagi ki dua lena chahiye
aa.ina tak to ulTi kahe hai agar fareb
khana ho koi dost bana lena chahiye
un ko para.e ‘ashk’ lagen hain agar aziiz
ghairon men apna naam likha lena chahiye
Leave a Reply