nazron ki tarah log nazare ki tarah ham
bhigi hui palkon ke kinare ki tarah ham
ye ruup to suraj ko bhi hasil nahin hota
kuchh der rahe sub.h ke taare ki tarah ham
ham ne bhi to ik umr ye gham saint ke rakkhe
ab kya hai jo bhari hain ḳhasare ki tarah ham
ik qaum hai chandi ki jo miTTi pe khinchi hai
sahra men hain bahte hue dhare ki tarah ham
is raat men pal pal kabhi raushan kabhi ru-posh
ik duur ke taare ke ishare ki tarah ham
yakja.i se pal bhar ki ḳhud-ara.i bhali thi
sho.ale se nikal aa.e sharare ki tarah ham
ye faḳhr kisi aur se mansub na hoga
har gaam hain ḳhud apne sahare ki tarah ham
Leave a Reply