bahut zaruri baat ik tum se karna thi
lekin tum ko jaldi bahut thi jaane ki
kahna ye tha ham to mashriq maghrib hain
mere haan to koi drawing-rōm nahin
koi baira na koi batlar na koi maman-shaman
koi garage na koi car koi driver na khansaman
ek hi kamra hai jo meri study bhi hai bedrōm bhi hai aur
drawing-rōm bhi mera
main ik kamre men rahta huun
apne andar rahta huun
apne andar rah kar bhi main ik duniya men rahta huun
jabhi kaha tha ham to mashriq maghrib hain
mashriq maghrib men jo farq hai
ye vo ghulam hi janen
do dhaai sau saal ghulami ki jo bediyan
katte katte qabron men ja soe
haae allah un jaisa bad-qismat koi aur yahan
na hue
achchha kiya tum chali gaiin
meri baton men kuchh talkhi aa gai hai
tere aaba ne mere aaba par jo zulm kiya hai
vo to meri maan ke duudh ne mujhe virasat
men bakhsha hai
Leave a Reply