agar kaj-rau hain anjum asman tera hai ya mera
mujhe fikr-e-jahan kyuun ho jahan tera hai ya mera
agar hangama-ha-e-shauq se hai la-makan khali
khata kis ki hai ya rab la-makan tera hai ya mera
use subh-e-azal inkar ki jurat hui kyunkar
mujhe malum kya vo raz-dan tera hai ya mera
mohammad bhi tira jibril bhi quran bhi tera
magar ye harf-e-shirin tarjuman tera hai ya mera
isi kaukab ki tabani se hai tera jahan raushan
zaval-e-adam-e-khaki ziyan tera hai ya mera
Leave a Reply