nazar se duur hain dil se juda na ham hain na tum
gila karen bhi to kya be-vafa na ham hain na tum
ham ik varaq pe to hain do huruf ki surat
magar nasib ka likkha hua na ham hain na tum
hamari zindagi parchha.iyon ki ḳhamoshi
qarib laati hai jo vo sada na ham hain na tum
ham ek saath hain jab se ye rog hain tab se
kisi bhi rog ki lekin dava na ham hain na tum
hamare jism hain paani pe jaise tasviren
bikharte rangon ke dukh ka sila na ham hain na tum
duha.iyan jo nahin den ‘zafar’ sitam sah kar
samajh rahi hai ye duniya ḳhafa na ham hain na tum
Leave a Reply