nazar mili to nazaron men baanT di main ne
ye raushni bhi sitaron men baanT di main ne
bas ek shaam bachi thi tumhare hisse ki
magar vo shaam bhi yaron men baanT di main ne
janab qarz chukaya hai yuun anasir ka
ki zindagi inhi charon men baanT di main ne
pukarte the barabar mujhe safar ke liye
mata-e-ḳhvab savaron men baanT di main ne
hava mizaj tha karta bhi kya samundar ka
ik ek lahr kinaron men baanT di main ne
Leave a Reply