nazar ko vus.aten de bijliyon se ashna kar de
fasana tuur ka tajdid ai jazb-e-rasa kar de
miTa de zauq-e-mahviyyat se ḳhalvat aur jalvat ko
agar tu kar sake dil ko harim-e-dil-ruba kar de
hijabat-e-nazar kab tak kahan tak dil ki mahrumi
madad ai shauq nazron ko qayamat-azma kar de
bana hai mai-kada ahl-e-havas ki bazm ai saaqi
tira tark-e-ta.alluq dekhna jaane na kya kar de
ba-majburi ba-aḳhir ye mujhe kahna hi paḌta hai
bahut pur-fan hui duniya nigahon ko ḳhafa kar de
tire naghme surur-o-kaif men ai ‘taj’ Dhalte hain
hadis-e-husn-o-ulfat ko dilon ka mudda.a kar de
Leave a Reply