nazar ko tiir kar ke raushni ko dekhne ka
saliqa hai hamen bhi zindagi ko dekhne ka
kisi jalte hue lamhe pe apne honT rakh do
agar hai shauq jamid ḳhamushi ko dekhne ka
sama.at men khanakti raushni se ho gaya hai
do-bala lutf miTTi ki nami ko dekhne ka
na jaane lauT kar kab aa.ega mausam ḳhajista
tiri ankhon ki sha.ista hansi ko dekhne ka
suna hai shauq tha un ko hunar aata nahin tha
sunahre zehn ki varaftagi ko dekhne ka
yaqin aata nahin lekin mila tha ek mauqa
shagufta shahr ki be-manzari ko dekhne ka
baḌa arman tha ‘sajid’ tumhen kya Dar ga.e kya
shab-e-taban hava ki ḳhud-kushi ko dekhne ka
Leave a Reply