nazar ko hamil-e-barq-e-jamal kar na saka
ghurur-e-husn ko main pa.emal kar na saka
vo aane vaale zamane ko kya banega
jo aaj tak mire maazi ko haal kar na saka
shikast-e-dil ka mire raaz aap kya janen
malal hi na hua ya malal kar na saka
mujhe latif sitam se karam ke pardon men
kuchh us ne aise miTaya malal kar na saka
hujum-e-gham raha ‘naḳhshab’ magar main apne liye
sharab-o-shahid-o-naghma halal kar na saka
Leave a Reply