naaz bhala kis baat ka tujh ko pas-e-hunar jab kuchh bhi nahin
manzil par pahunchega kaise raḳht-e-safar jab kuchh bhi nahin
dekh bhaTak jaa.e na musafir aankh ki bhul-bhulaiyya men
kis ko DhunDe shoḳh-nazar ta-hadd-e-nazar jab kuchh bhi nahin
meri nigahon men duniya ki har shai se nayab hai tu
aur kisi ko kyuun chahun tujh se behtar jab kuchh bhi nahin
main bhi faani tu bhi faani saara aalam faani hai
kya ḳhad-o-ḳhal pe naaz karen duniya men amar jab kuchh nahin
jugnu aur sitare mil kar tujh ko kya lalkarenge
tere aage nuur ke paikar shams-o-qamar jab kuchh bhi nahin
batil ko ab kaun duha.i qanun aur insaf ki de
bandon ka kya ḳhauf use allah ka Dar jab kuchh bhi nahin
taj-mahal phika lagta hai us ke ruup ke aage ‘shad’
teri kya auqat bhala sang-e-marmar jab kuchh bhi nahin
Leave a Reply