naya ab silsila joḌa na jaa.e
puranon ko magar toḌa na jaa.e
mujhe jo chhoḌ jaana chahta hai
agar jaa.e to phir thoḌa na jaa.e
bahut nuqsan karti hai ḳhudi ka
ana ka ruḳh agar moḌa na jaa.e
tamanna asmanon ke safar ki
magar angan ki bas chhoḌa na jaa.e
Leave a Reply