• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nau-Giraftar-E-Mohabbat Kabhi Aazad Na Ho

Nau-Giraftar-E-Mohabbat Kabhi Aazad Na Ho

nau-giraftar-e-mohabbat kabhi azad na ho

qaid men qaid rahe qaid ki mi.ad na ho

main to ḳhamosh rahun hijr men Dar hai lekin

dard uTh kar kahin amada-e-fariyad na ho

tum men pinhan hain mohabbat ke hazaron jalve

ai miri ḳhaak ke zarro kahin barbad na ho

kuchh hain bikhre hue par kunj-e-qafas ke bahar

ḳhauf hai aur bhi rusva kahin sayyad na ho

phuuT kar kis ke ye rone ki sada aati hai

dard-e-ulfat kahin mera dil-e-nashad na ho

dil ki iza-talabi puchh luun kya kahti hai

Thahro Thahro abhi dam-bhar koi bedad na ho

‘shauq’ kar duun jo bayan kavish-e-gham ki halat

apna qissa bhi kam-az qissa-e-farhad na ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Main Harf-e-Ibtida Hun

Dasht Ne Talib-E-Gulzar Kiya Hai Mujhko

Ab Ke Baras honTon Se Mere Tishna-Labi Bhi KHatm Hui

Guzarna Hai Ji Se Guzar Jaiye

poet

Koi Deta Nahin Hai Dad Be-Dad

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet