nashsha karne ka bahana ho gaya
jab zara mausam suhana ho gaya
tujh se milna to kuja ai jan-e-jan
tujh ko dekhe ab zamana ho gaya
muḌ ke dekha jab bhi pichhe ki taraf
aaj dhundla kal fasana ho gaya
gulsitan-zade bahut hi shaad hain
jab se zindan men Thikana ho gaya
jiit haq ki zalimon ke vaste
ḳhuun bahane ka bahana ho gaya
sach likhunga chahe miT ja.un ‘hanif’
jhuuT ab mera nishana ho gaya
Leave a Reply