nashat-e-gham ke ta.iin ik ḳhat-e-mumas huun aaj
nasib-e-dushmanan zinda huun be-hiras huun aaj
juda.i dard mohabbat thi rasm ḳhatm hui
na vo udaas hua kal na main udaas huun aaj
gharib dil bhi ajab gham-navaz hota hai
ḳhushi mili hai to kis darja bad-havas huun aaj
main dar-ba-dar huun ki maara hua zamir ka huun
main aa.ina tha magar kitna be-libas huun aaj
asir-e-dam-e-shunidan hai fasla hamdam
ki tu kahin bhi rahe tere as-pas huun aaj
ragon men ab bhi qabile ka ḳhuun sarkash hai
magar vo vasf kahan sirf iltibas huun aaj
Leave a Reply