• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Nash Us Aashiq-E-Nashad Ki Uthwane do

Nash Us Aashiq-E-Nashad Ki Uthwane do

poet

naash us ashiq-e-nashad ki uthvane do

ab use zer-e-zamin chain se so jaane do

dil bahal jaae to tanhai ki kulfat bhi mite

shab-e-furqat ki balaon ko to aa jaane do

sainkadon gauhar-e-nayab to paida honge

chand jhale miri ankhon se baras jaane do

be kafan phenk hi dena mire lashe ko magar

kucha-e-pak men mahbub ke mar jaane do

liye baitha huun bayaban men pahlu khali

kya milae hain junun tu ne ye virane do

mai ki hajat na kabhi mujh ko rahi ai saaqi

khuun se labrez hain un ankhon ke paimane do

shama-ru jaan bhi hui dil bhi hua tujh pe fida

jal gae ishq ke hathon se ye parvane do

saath mere dil-e-nashad hai tanha main nahin

aae hain dar pe shah-e-din tire divane do

saath us zulf ke uljhe na hamari qismat

ab ise tum dil-e-sad-chak se suljhane do

hoga pur-nur siyah-khana hamare dil ka

is men tum ghaus-e-khuda ko zara aa jaane do

rah chuka dair-o-kalisa men bahut muddat tak

ai junun su-e-haram ab to mujhe jaane do

un ke fiqron men na aenge ye sachche ashiq

vaaiz aae hain jo samjhane to samjhane do

fakhr hai naaz hai us par to ‘jamila’ mujh ko

tum sag-ku-e-jamali mujhe kahlane do

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

waseem-barelvi

Main Ye Nahin Kahta Ki Mera Sar Na Milega

jigar-moradabadi

Kya Barabar Ka Mohabbat Mein Asar Hota Hai

Kya Mera iKHtiyar Zaman-O-Makan Par

Lijiye Humse Ba-Kamal Log Bhi Aam Ho Gae

Aise Bhi Kuchh Lamhe Yaro Aaenge

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet