narm faza ki karvaten dil ko dukha ke rah gaiin
thandi havaen bhi tiri yaad dila ke rah gaiin
shaam bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udaas udaas
dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gaiin
mujh ko kharab kar gaiin nim-nigahiyan tiri
mujh se hayat o maut bhi ankhen chura ke rah gaiin
husn-e-nazar-fareb men kis ko kalam tha magar
teri adaen aaj to dil men sama ke rah gaiin
tab kahin kuchh pata chala sidq-o-khulus-e-husn ka
jab vo nigahen ishq se baten bana ke rah gaiin
tere khiram-e-naz se aaj vahan chaman khile
faslen bahar ki jahan khaak uda ke rah gaiin
puchh na un nigahon ki turfa karishma-saziyan
fitne sula ke rah gaiin fitne jaga ke rah gaiin
taron ki aankh bhi bhar aai meri sada-e-dard par
un ki nigahen bhi tira naam bata ke rah gaiin
uf ye zamin ki gardishen aah ye gham ki thokaren
ye bhi to bakht-e-khufta ke shane hila ke rah gaiin
aur to ahl-e-dard kaun sambhalta bhala
haan teri shadmaniyan un ko rula ke rah gaiin
yaad kuchh aaiin is tarah bhuli hui kahaniyan
khoe hue dilon men aaj dard utha ke rah gaiin
saz-e-nashat-e-zindagi aaj laraz laraz utha
kis ki nigahen ishq ka dard suna ke rah gaiin
tum nahin aae aur raat rah gai raah dekhti
taron ki mahfilen bhi aaj ankhen bichha ke rah gaiin
jhuum ke phir chalin havaen vajd men aaiin phir fazaen
phir tiri yaad ki ghataen sinon pe chha ke rah gaiin
qalb o nigah ki ye iid uf ye maal-e-qurb-o-did
charkh ki gardishen tujhe mujh se chhupa ke rah gaiin
phir hain vahi udasiyan phir vahi suuni kaenat
ahl-e-tarab ki mahfilen rang jama ke rah gaiin
kaun sukun de saka gham-zadagan-e-ishq ko
bhigti raten bhi ‘firaq’ aag laga ke rah gaiin
Leave a Reply